Search This Blog

Saturday, 12 January 2013

interview experience


Candidate name:raj singh

My interview experience in SBI clerk Phase-II on 01.01.2013 (Lucknow)
There were 3 men and 1 women in panel.
M1. To mr. raj singh kaha se ho aap?
ans. Sir main Barabanki se hu.
M1. Aapne BCA kiya hai 2009 me uske baad kya kar rahe the?
ans. sir after BCA i have done one year diploma in networking form HCL CDC and after that i m preparing for government job.
M1. Do u know about CCNA? what is the full form of it?
ans. yes sir, it is Cisco Certified Network Administrator.
M1. Why u not go for CCNA?
ans. sir i want to switch my field, and i have no more interest in private sector because in private sector everyone is looking for a Master degree and 1 or 2 year work experience.
M1. CCNA exam dene ke liye fees kis currency me deni hoti hai mr. raj singh?
ans. sir, ccna ke liye fees dollar me deni hoti hai.
M2. mr. raj singh, Semi Conductor kya hote hai?
ans. sorry sir, semi conductor ke baare me nahi pata hai.
M2. Kyo BCA me padhaya nahi gaya?
ans. no sir, BCA me main focus Computer Application pe rahta hai aur hardware ki basic knowledge di jaati hai,, deep me nahi padhaya gaya.
M2. Ok, Operating system ke bare me suna hai?
ans. yes sir, Operating system is a platform between man and machine.(not satisfied)
M2. jara fir se batayeye mr. raj singh
ans. sir, operating system is a tool by which we can operate and control the hardware . without operating system we can not imagine the computer, it provide us the interaction with the hardware and platform to run the application software. and we do all the work by using the application software. some examples of operating system are- windows, linux, unix mac etc.
M2. kya difference hai windows aur linux me?
ans. sir 1. window GUI based hota hai and Linux CUI based. 2. linux ki security better hoti hai windows ke comparison me. 3. windows Microsoft ka operating system hai aur Linux Open source hai.
M2. Agar aapke paas paise nahi ho to aap kaun sa operating system choose karoge?
ans. sir, Linux.
M2. Kyo?
ans. Kyoki Linux open source and freeware software hai. net se free me download kiya ja sakta hai. Linux use karne ke liye koi paisa nahi dena padta hai, but windows ko register karne ke liye paise dene padte hai.
M3. Mr. raj singh, NABARD ke bare me suna hai?
ans. yes sir.
M3. full form kya hota hai aur kab establish hua tha?
ans. sir, National bank for agriculture and rural development. establish 1982 me hua tha sayad, main confirm nahi hu.
M3. sahi hai. 1982 me hi bana tha.
M3. iska main function kya hai mr. raj singh?
ans. sir, the main function of NABARD is to refinance the loan given in rural areas.
W1. mr. raj singh. Precedent ka election kaise hota hai india me?
ans. ma'am, precedent ke election me sare MP aur MLA voting karte hai, aur 2/3 % vote chahiye hote hai jitne ke liye. (last ka sentence jaldbaaji aur achanak puche jane ki wajah se galat bol diya tha maine)
W1. seven wonders ka naam suna hai? kaun kaun se hai?
ans.. (ab mera dimag kaam karna band ho gaya tha) ma'am, india se Taj Mahal hai aur baki 6 ke bare me nahi pata.
W1. raj singh, is samay CAG bahut controversy me tha? Kyo?
ans. ma'am Koyala ghotala aur 2G spectrum ghotale ki report ki wajah se.
W1. To aapko kya lagta hai ki 2G me ghotala hua tha?
ans. ma'am, dubara jo nilaami hui hai usme utne paise nahi aaye hai jitna CAG ki report me kaha gaya tha, isliye government kah rahi h ki report galat thi aur badha chadha ke batayi gai thi, utna nuksaan nahi hua hai jitna CAG kah raha hai.
M1. Raj singh, aapne kaun kaun se software ke baare me padha hai?
ans. sir MS office, Programming with using C, DBMS, .NET, HTML, and other general purpose application software jo daily life me use kiye jaate hai.
M1. MS access kya hai aur iska use kya hai?
ans. sir, MS access ek DBMS software hai aur iska use data base banane ke liye kiya jata hai.

Thats it. Kuch aur questions bhi puche the but ab yaad nahi aa rahe hai. interview lagbhag 15-20 minute chala tha aur sayad maine 3 questions ke answer nahi diye the. Aur last me maine sabko Happy New Year wish kiye aur un logo ne "same to u and we wish for ur bright future" bola.

dosto kya lagta hai aaplogo ki najar me kaisa raha mera interview,, put ur views and wish me luck.. Thanks to all

No comments:

Post a Comment